Dil Ki Baat – 2 Line Urdu Poetry Copy Paste Love

 

Dil Ki Baat - 2 Line Urdu Poetry Copy Paste Love

Shayari insaani jazbaat ka woh aaina hai jo dil ke gehre raaz kholta hai aur alfaaz mein aisi rooh phoonkta hai jo har sun’ne wale ko bechain kar deti hai. Kabhi yeh mohabbat ke phool bikherti hai, kabhi dukh ke saaye mein aanso ban kar beh jaati hai. 

Kaha jaata hai k shayaro pattha ko mom karny ki taqat rkhti hai. Kya aapne kabhi kisi sher mein apni kahani dekhi hai?
Sochiye, ek sher jisne aapko ek purane dukh ya khushi ki yaad dilayi ho, ya ek ghazal jisne aapke bechain dil ko sukoon diya ho.

Shaeri sirf alfaaz ka khel nahi, yeh ek jazba hai jo insani dilon ke darmiyan sheesha ban kar unhein qareeb le aata hai. Ek achi nazm ya ghazal sun’ne ke baad jo sukoon dil aur dimagh ko mehsoos hota hai, woh aksar alfaaz mein bayaan karna mushkil hota hai. Yeh sukoon aapne kabhi mehsoos kiya? Agar han, to phir aaey kuch esy hi zabardat or dil ko choo leny waly shair parhty hain.

زمانہ تیری ہتھیلی پر خاک ڈال دے گا

تم عشق کے لیے ہاتھ بڑھا کر دیکھو

Zamana teri hatheli par khaak daal dega

Tum ishq ke liye haath barha kar dekho

مایوسیوں کے جال میں دم توڑ رہا ہے عشق

اب بھی کوئی سنبھال لے، تو بگڑی بات نہیں

Mayusiyon ke jaal mein dam tod raha hai ishq

Ab bhi koi sambhal le, to bigri baat nahi

تو بدلتا ہے تو بے ساختہ میری آنکھیں

 اپنے ہاتھوں کی لکیروں سے الجھ جاتی ہیں

Tu badalta hai to baysakhta meri aankhain

Apnay Haatho ki lakeero say ulajh jaati hain

Top 5 Most Romantic Poetry in Urdu

Apnay payara ke bayan karny ka shayari say behtar or kea tarika ho sakta hai? Urdu shayari main esi taqat hain ek aam si baat ko bhi bohat khaas bana ke paish krti hai jo sunny walo ke dil pighla deti hai.

Urdu adab mein mohabbat ke jazbaat ke liye aise aise alfaaz chune gaye hain jo shayari ko hamesha ke leay amar kar dete hain. Agar ap bhi kisi se mohabbat ka izhaar karna chahte hain, ya apni dil ki baat kisi poetry ke zariye samjhana chahte hain to ye love poetry Urdu ap k leay hain.

خوابوں میں بھی تمہارے ساتھ ہوں

یہی تو ہے میری محبت کا کمال

Khawabon mein bhi tumhare saath hoon,

Yahi to hai meri mohabbat ka kamaa

ہائے بات پوری نہ ہو سکی مجھ سے

ہونٹوں پر ہونٹ رکھ دیئے اُس نے

Haaye baat poori nah ho saki mujh se

Honton par hont rakh diye us ne

تجھے سوچ کر جو آتی ہے

وہ مسکراہٹ کمال کی ہوتی ہے

Tujhe soch kar jo aati hai

Wo muskurahat kamal ki hoti hai

جب وہ میرے ماتھے کو چومتا ہے

 تو سارے دنیا کے غم بھول جاتے ہیں

Jab woh mere mathe ko chumta hai

To saare duniya ke gham bhool jaate hain

یہ کس پہ تعویز کر رہے ہو یہ کس کو پانے کے ہیں وظیفے

تمام چھوڑو بس ایک کر لو جو استخارہ تو میں تمہارا

Yeh kis pe taaweez kar rahe ho, yeh kis ko paane ke hain wazifay 

Tamam chhor do, bas ek kar lo, jo istikhara to main tumhara

Ye tamam shair ihaq or muhabbat ko bohat asani say or bohat hi dil choo leny waly andaaz main bayan kar rhy hain, ap ka is main say sab say pasandeda shair konsa hai?

Best Shayari in Urdu for Friends

Zara socheay ke ap maa bap ke elawa apni preshani kis ke sath bari aasani say share kr lety hain? Kisi rishty dar say, kisi paroodsi say ya kisi collogue say. Yaqeenan apka jawab hai ke in main say kisi say bhi nhi. To phir kis say? 

Dost say, dost zindagi ka sabse khoobsurat hissa hote hain. Duniya ke har dukh aur khushi mein ek sacha dost saath ho, to zindagi ka safar aasaan aur khoobsurat lagta hai. To aaeay apny inhi behtreen doston ke naam kuch shair karty hain.

جیو ہزاروں سال، یہ ہے دوستی کی راہ

خدا کی قسم، یہ دل یہاں بڑا خوشی سے ہے

Jeeo hazaaron saal, yeh hai dosti ki raah

Khuda ki qasam, yeh dil yahan bada khushi se hai

دھوپ میں سایہ، رات میں چاندنی

دوست ہی تو ہے زندگی کی روشنی

Dhoop mein saaya, raat mein chaandni,

Dost hi to hai zindagi ki roshni

یہ دوستی ہر لمحہ روشنی میں چمکتی ہے

دل کا حال ہر زبان پر گونجتی ہے۔

Yeh dosti har lamhe roshni mein chamakti hai

Dil ka haal har zubaan par goonjti hai

جو دل کو اچھا لگتا ہے اسی کو دوست کہتی ہوں

 منافق بن کر رشتوں کی سیاست میں نہیں کرتی

Jo dil ko achha lagta hai, usi ko dost kehti hoon. 

Munafiq ban kar rishton ki siyaset mein nahin kart

مسیح و خضر کی عمریں نثار ہوں اس پر 

 وہ ایک لمحہ جو یاروں کے درمیان گزرے

Masih o Khizr ki umar nisaar ho, is par 

Woh ek lamha jo yaaron ke darmiyan guzre

جانے کس گلی میں چھوڑ آیا ہوں 

 جاگتی ہوئی راتیں ہنستے ہوئے دوست

Jaane kis gali mein chhor aaya hoon

Jagti hui raatein, hanste huye dost

Sad Poetry in Urdu 2 Lines

Dukh or takaleef azall say insan ke sath hain, hum kitna bhi bhaagain kisi na kisi mor pay hmain aa ghairty hain. Yeh woh jazbaat hain jo insaan ko tanhai mein rula dete hain aur shayari ke zariye dil ka bojh halka karte hain. Baaq oqat koi sad sa shair parh ke lagta hai ke ye hmary leay hi likh gaya hai, kaya ap ke sath bhi esa hva hai? 

Yahan meri pasandeda Sad urdu poetry share ki gai hai, parhain, mehsoos krain or apny dil ka bhooj halka krain.

کوئی آیت پڑھ کے بھیج اِدھر

میری آنکھیں نیند سے خالی ہیں

Koi aayat parh ke bhej idhar

Meri aankhein neend se khaali hain

وہ لڑکی تنکا تنکا بکھر گئی

جسے مان تھا اپنے صبر پر

Woh ladki tinka tinka bikhar gayi

Jise maan tha apne sabr par

راس تنہائی بھی نہیں آتی 

 اور ہر شخص سے بیزار بھی ہوں

Raas tanhai bhi nahi

Aur har shakhas say bayzar bhi hun

یہ کس طرح کا تعلق ہے آپ کا میرے ساتھ

 مجھے ہی چھوڑ کے جانے کا مشورہ میرے ساتھ

Ye kis tarhaan ka tal’luq hai aap ka meray saath

Mujhy hi chor ke jaany ka mashwra mery saath

صدموں سے لوگ مر نہیں جاتے 

 تمہارے سامنے ہے مثال میری

Sadmo say log mar nhi jaaty

Tumhary saamny hain misal meri

ہونٹوں کی ہنسی کو نہ سمجھ حقیقت زندگی 

 دل میں اتر کے دیکھ کتنے ٹوٹے ہیں ہم

Honto ki hansi ko na samjh haqeqat-e-zindagi

Dil main utar ke dekh kitny toty hain hum

To, Urdu poetry lovers, kesy lagay apko meray muntahib keay gay shair? Agar achy lagay han to apny meboob or doston ke sath share krain, or zindagi ka mazah lain urdu poetry ke sath.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *